Thursday, June 20, 2013

Mrig-Trishna



Maine ateet se poochha....yahaan kya karte ho?

warshon pehle, khadey ek hi do-raahe par....
ham ne alag- alag raston par chalne ki thaani thee...

wip-reet dishaon mein baandhe the apney lakshya...

maine chuna tha nirankush ujiyala, 
aur tumhe, ....andhiyara priya tha....

main chal padi thee , satat, bhor ki ore...
tumney raat ki gehraree ko bheda thaa....

Phir kaise ho aaj khade mere rastey par?
mutthee mein kaalikh le kar...?

dekho chaaron ore..chhataa kaisi sundar hai...
ek taraf yatharth ka behta indradhanush hai...

aur doosri ore bhavishya ka jharnaa hai.....

hans kar bol padaa ateet nir-lajjaa se..
indradhanush maya hai.....jharna, mrig-trishnaa hai....

Friday, June 7, 2013

Chal meri jaan....

chal meri jaan kinaara karte hain...
is bhaagte sheher se.....

dhaunkni see iskee saanson ka shor....har taraf jism aanch par siktey..

yaad hai aakhiri baar kab banaye the...haathi ghode sunehle baadal se?
tim-timaati thee raat ki chaadar....aasmaa chhat tha, chaand sigdee tha..

subah aati thee sakuchaayi hui...nayi dulhan see bharii maang liye....
yaad hai kaise aam ki khushboo.....kiyaa kartee thee garmiyon ka aaghaaz....

mitti saundhi see mehkaa kartee thee...pehli baarish ki pehli aamad pe...
yaad hai kaise likkha karte the.....haal-e-dil kaapiyon ke panno pe...

pehli barish mein roomani hokar...??

chal ke waise hi jiyaa karte hain....
na maloom kaisaa falsafa lekar....is sheher mein saare jiye jaate hain..

kuchh waade jo teri kalam ke the....kuchh waade jo zubaan ne mere kiye..
chal ke jeete hain unhi waadon ko...milke ash-aar likkha kartey hain...

tu liye chalnaa apnee siyaahi..aur bas.. kaagaz....kalam... dawaat main baandhey liye chaltee hoon...
aur jo milkey likkhee hai dono ne ...zindagee ki sabse khoob ghazal....

subah ke Raag mein piroyenge...mil-ke gayenge har qadam ...har pal...

-Nidhi 

Saturday, April 27, 2013

Abke Jab.....



(tum kashmir mein ho....kuch 26-27 dinon ke liye....har din ka har lamhaa hazaar saal jaise lagtaa hai...)


Abke jab....

Abke jab tum ghar aana...
Saath le aana taazi hawaa, dhoop, rang, raunak aur noor...

Sab ke sab badsalooki kartey hain...
Meri shikayaton ki fehrist mein bade naam hain iss baar...

Hawaa dubki hui se rehti hai... Tumhaari har ek tasweer ke paas...bas wahin aaram kiya kartee hai...

Dhoop thithak ke jhaankti hai saare roshandaanon se...
Andar qadam nahi rakhtee lekin.....

Rang alsaaye huye rehte hain...

Abke jab tum ghar aana... Karna taaqeed is badghumaan aaeene se...
Mujhko harchand ghareeb kehtaa hai...

Munh chidhaata hai guldaan...dareechaa thitholi kartaa hai..

noor aata nahi ghulabon pe..
Beemar hone ka bahaana kar ke...

Raunak gaayab hai ghar ke aangan se...jaise tankhwaah nahi miltee ho...

Abke jab tum ghar aana...lena khabar barabar tum...

Saath le aana taazi hawaa, dhoop, rang, raunak aur noor....

(Suna hai vaadiyon mein raunak hai... Rang bharpoor hai chinaron mein...dhoop chhantee hai har subah jinse..

hawaa Zindadili se gaati hai..
aur noor.... aakash se tapaktaa hai....)


Tuesday, March 19, 2013

Eeshwar ke liye




Yeh kaisa hai maun, khadaa hai kaun, tumhaari chhavi lekar...??
...
Isht dev tumse poochhoon yeh prashna...

......

Divas beet baney warsh, kiya sangharsh, tumhe pooja nit din
tumney jo bhi dikhlayi ho raah, kiya nirvaah, athak... prashnon ke bin...

Phir, 

Kyon nabh mein har oar, vyaapt ghan-ghor, andhiyaara har kshan...
Kyon path ke har mod, deekhtee bhor , nahi miltee lekin...??

Sunday, March 10, 2013

Nanaji ke liye

jab main jag ko kautoohal se dekha kartee....
Jab main pag-pag degein bharti dag-mag dag-mag...

Raaga ke liye..

hazaar dastakein deti rahi...tu mujhmein is qadar simtee rahi....
main har ghadee, maheenon tak, teri aahatein gintee rahee...

kab teri nanhi se hatheli mein, main dhoondh loon apni saari, baqi kismat
kab tere mathe ke ujaale mein, main aks dekhoon apney khoye huye bachpan ka....

tere nanhe gulabi pairon mein, kab pinhaaoon maa ke diye sanskaron ko..
kab teri aankhon ki chamak se ho , roshan-e-jaan mera, ..chhotaa sa ghar..

meri gudiya.... tu meri jaan banke aayi hai...meri beti, mera hissaa, meri parchhaaeen hai...
tu meri aur main teri pehchaan, mere jeevan ki yeh sabse haseen sachchaaee hai....

- Nidhi Yasha (Saxena)

Pranjal ke liye.....

Suhaag ke phool ka rang......gulaal ban nikhraa....
meri mailee see odhnee ko saraabor kiye....
mere saade se pairahan ko zindagee de kar....

meri hatheli pe likkha hai kissa janmon ka...
kis qadar mein toot-ti - bikharti aayi thee...
chaltee aandhi mein sookhi neem ki tehnee bankar...

tum na aate toh jaane kya hota....
kaun rakhtaa sanjo ke naazon se....
woh jo girtey the harsu, aankh se motee bankar...

Main tumse maangoon bhi toh kya maangoon..
meri bindi ki chamak, meri choodi ki khanak...
kaat deti hai andheron ko chaandni bankar....

main tumse maangoon bhi toh kya maangoon..?