Tuesday, June 6, 2017

raat...

Chaand tab aaeena sa lagtaa tha..
Raat lagṭi thee jyoṅ resham ka libaas...

Kabhi kaajal si laga kartee thee..
Kabhi sandal ke jungalon jaisee..

Raat sharmaayee hui aatee thee,
Aur badee der tak ṭhehertee thee ....

Raat ab roshnaai ho jaise..
Unki kalamon meiṅ basaa kartee hai..

Unke kaaġaz pe kahaani kabhi..
kalaam banee... Raat shokhi se bikhar jaati hai..

Raat ab mere paas aati nahi...
Haaṅ magar, der tak thehertee hai....

Unke pannon Ke khwabgahon mein..
Raat khwaabeeda see bhataktee hai...

Neend jab karwatein badalti hai...
Raat, kuchh door hi thithaktee hai..

Mujhko kan-Khee se dekha Karti hai............
Aur Bahut der tak thehertee hai..