Chaar panney, ik kitaab. kuchh siyahi, kuchh sharaab...
Kalam ne bola kalaam....aur, utaare kuchh naqaab...
kaun hai zyada zaeef, main ya meri tishnagi......
ya ki ye afsurda raat, ya ki ye sookha ghulaab...
meri hasrat ke sirhaane, khat mein hai qismat meri...
hain waqa-t mujh mein nahi main padh sakoon uska jawaab....
shaam meri khidkiyon pe gaa ke guzraa ik faqeer.....
daaney daaney pe likha hai khaane waale ka hisaab....
Main toh bas jaltaa gayaa, jab aandhiyon ne dee hawaaa....
mat karo sajda mera yun... hans ke bola aaftaab.....
Adab-e-mehfil woh sikhaata hai mujhe aankhon se yun..
jyon kabhi usne sikhaayi badmijaazi behisaab.....
Ya shifa ya maut ho, par intehaa ho marz ki...
ab nahi ho intezaar- e - zeest, na neendein kharaab....