Thursday, June 20, 2013

Mrig-Trishna



Maine ateet se poochha....yahaan kya karte ho?

warshon pehle, khadey ek hi do-raahe par....
ham ne alag- alag raston par chalne ki thaani thee...

wip-reet dishaon mein baandhe the apney lakshya...

maine chuna tha nirankush ujiyala, 
aur tumhe, ....andhiyara priya tha....

main chal padi thee , satat, bhor ki ore...
tumney raat ki gehraree ko bheda thaa....

Phir kaise ho aaj khade mere rastey par?
mutthee mein kaalikh le kar...?

dekho chaaron ore..chhataa kaisi sundar hai...
ek taraf yatharth ka behta indradhanush hai...

aur doosri ore bhavishya ka jharnaa hai.....

hans kar bol padaa ateet nir-lajjaa se..
indradhanush maya hai.....jharna, mrig-trishnaa hai....

Friday, June 7, 2013

Chal meri jaan....

chal meri jaan kinaara karte hain...
is bhaagte sheher se.....

dhaunkni see iskee saanson ka shor....har taraf jism aanch par siktey..

yaad hai aakhiri baar kab banaye the...haathi ghode sunehle baadal se?
tim-timaati thee raat ki chaadar....aasmaa chhat tha, chaand sigdee tha..

subah aati thee sakuchaayi hui...nayi dulhan see bharii maang liye....
yaad hai kaise aam ki khushboo.....kiyaa kartee thee garmiyon ka aaghaaz....

mitti saundhi see mehkaa kartee thee...pehli baarish ki pehli aamad pe...
yaad hai kaise likkha karte the.....haal-e-dil kaapiyon ke panno pe...

pehli barish mein roomani hokar...??

chal ke waise hi jiyaa karte hain....
na maloom kaisaa falsafa lekar....is sheher mein saare jiye jaate hain..

kuchh waade jo teri kalam ke the....kuchh waade jo zubaan ne mere kiye..
chal ke jeete hain unhi waadon ko...milke ash-aar likkha kartey hain...

tu liye chalnaa apnee siyaahi..aur bas.. kaagaz....kalam... dawaat main baandhey liye chaltee hoon...
aur jo milkey likkhee hai dono ne ...zindagee ki sabse khoob ghazal....

subah ke Raag mein piroyenge...mil-ke gayenge har qadam ...har pal...

-Nidhi