Thursday, June 19, 2008

Gair phirta hai liye yun tere khat ko ki agar....koi poochche ki yeh kyaa hai....to chhipaaye na bane...

Jan 12, 2008 5:34 PM
subject -meri jaan...

bahut man kar raha hai ki aapko khat likhoon...so likh raha hoon

aapse yeh kahna chahta hoon ki main aapse deewanon ki tarah mohabbat karne laga hoon aur chaahe main kahoon ya na kahoon...aapse baat ho na ho...magar aapki yaad bahut zyaada sataati hai...nanhe nanhe khwaabon ki ungliyaan hain jo kab aankhon ko sahlaane lagti hain .... pata hi nahin chalta...

maine khwaab dekhna chhod diya thha...magar ab phir se pirone laga hoon...

ho saktaa hai ki beete kuchh dinon mein maine aapka kahin kisi baat se dil dukhaya ho...magar yakeen jaaniye ...har daant ke peechhe meri mohabbat hi chhipi hoti hai...main kya karoon ki aapki zara si bhi takleef mujhe aisa ehsaas dilaati hai ki jaise main haar raha hoon aur.... aapko shayad khush nahin rakh paa raha hoon...

main aapko khushiyon ke samandar mein tairta dekhna chahta hoon...aapki hansi ki khanak kitni khoobsurat hai shayad aapko kisi ne kabhi bataaya nahin...main aapko itna kaamyaab aur khush dekhna chahta hoon ki kal agar mujhe kahin apni pehchaan yeh kah kar deni pade ki main nidhi ka pati hoon to fakhr se kahoonga...aap na sirf meri kamzori hain balki taaqat aur ghamand bhi aap hi hain...

aapka
pranjal saxena


nidhi yasha
to Pranjal
show details
Jan 12
bade armaanon se maine aaj apnaa mail khola tha, aapka khat milega....mila.....aur maine jitna socha tha, kahin zyada pyaar paya.....main khushnaseeb hoon, ....kitnee khushnaseeb hoon iskaa andaaza shayad aapko bhi nahi hai...

main bhi unhi khwabon ke sahaare zinda hoon, jinse ek arse baad naataa joda hai...jo kabhi saath chhod gaye the.....unhi sapno ki nanhi nanhi, gulaabi ungliyon ko kabhi kabhi khuli aankhon se kabhi band....apnee hatheli pae rakh kar choomti hoon...

Aapne kabhi dil nahi dukhaya.........Maine jab se aapko paaya hai, meri hansi ki khanak shaayad chauguni ho gayi hai....meri khushiyon ki taadaad sirf badhi hai....aur yeh aap hi ki jeet hai...

maine un tamaam dard zadaa raaton ko maazi ke saath dafn kar diya hai,..... kar paayee hoon kyunki aap hain....mere saath...mera aaj, aur mera aane waala kal...
main is suroor ke saath har subah uth-ti hoon ki meri poori zindagee baahein phailaaye mera intezaar kar rahi hai...is yaqeen ke saath ki kisi ki aankh mein mere pyaar ki nami hai....mere har khwaab ki chamak hai...

is-se badaa tohfa mujhe zindagee ne kabhi nahi diya...aur is-se zyada qeemtee kuchh nahi hai....
meri pehchaan, mera wajood ....aapse hai....kal jo bhi oonchaaiyaan chhuenge, ham saath chhuenge....ek dooje ka haath thaame....

aapkee hoon, qatra-qatra.....tinkaa-tinkaa

aapkee
Nidhi Yasha (Saxena)--

Thursday, June 12, 2008

Aakhiri khat


Aaj tumko phir, ek aur aakhiri khat likh rahee hoon...
apnee bebas bhaawna ke haath phir se bik rahee hoon..

hans rahi hai aap, meri aatma mere hashar par..
yun rakhaa karti thee tumko thaam, palakon par adhar par..

jeet-tey the, jeet meri bhi wahin hoti thee jaakar...
haar-tey the, haath mere thaam-tey the pyaar ban-kar..

main jo beghar, baawali thi, to mera ghar-baar tum the...
nit jo sapney dekhtee thee...sapnon ka aadhaar tum the...

kis rupahli chaandni mein chhin gaya jo ghar basaaya..
kab churaa ke le gayaa mujhse tumhe koi paraayaa...

phoonk daala deep mera kab kisi bairan hawaa ne
kab zahar ban bhed daala khud mujhe meri dawaa ne

ghoomtey they ik dhuri par saath mil jeevan hamaare..
kyaa galat tha, kya sahee hai ...badley hain sandarbh saare.

main nisha ka swapna jaanoon aur tumko bhool jaaoon
na kahoon koi dard apnaa, kuchh kisi ko na bataaoon..

na likhoon yeh aakhiri khat , na koi aansoo giraaoon.....
main magar chup bhi rahoon to, yeh dishaayein jaan lengi..

aankh dekhi har kahaani, taarikaayein jaan lengi...
phir kabhi tumse ye koi prashna poochhein raah chaltey..

phir kabhi tumko agar yeh rok lein, bach kar nikaltey...
tum kahey dena unhe koi nahi pehchaanta hai..

kaun rishtey , kaun naatey, kaun kisko jaantaa hai?
aur chal dena , saralata se jhatak ke haath unka......

aaj tumko phir, ek aur aakhiri khat likh rahee hoon...


........................................................................

Wednesday, June 11, 2008

bhor......

jab ek din ankhein kholi to paaya ki khidki ke baahar bhor phoot phoot ke bikhar rahee thee....baadalon ko cheer...
sindoori laal rang ki bhor.....
kisi ne mutthi bhar gulaal jaise arson se neele pade, bejaan aasman ke gaal par dhithaai se laga chhoda ho.......
phir tumko dekha , aur tumhaare safaed kurte par lagey sindoori bhor ke dhabbon ko.......kuchh beetee raat ki kaalikh bhi thee.....raat, jo aankhon mein utar aayi thee .......aur phir bah chali thee, yahaan wahaan..

aur kitne rang band honge .....us mutthi mein.......!!...suhaag ke phool sa dahakta laal, to katthai......tumhaari putli jaisa...
kabhi nazar ke teeke sa kaala.....nazar ka teeka jab phail jaaye, waisa... kaala...
kabhi gulaabi, tumhaari ungliyon ke siron jaisa....

tum se kabhi kahaa tha pehle?

tum..

aasakti ki abhivyakti ho.....bandhan ka aakarshan ho tum...
abhilasha ki paribhasha ho.....ni-swaarth samarpan ho tum...
har swapna ka aadhar-stambha..har satat bhaawana ka marm...
mere kalp-wriksha ho...jeevan ka nimantran ho tum...


jab mere shyaam bhaal par ugega soorya prem ka...
jab ek sootra mein bandhe moti hridaya pe jhoomenge..
meri choodiyon ki taak se badlegaa sandhya ka sangeet....
meri jhaanjharon se lajjit , jheengur nisha ko ghoorenge..


phir main kisi bachchee sareekhee thirakoongi us taan par..
aur dheeme se tumse kahoongi .......
main raatri ka rahasya hoon........aur bhor ki kiran ho tum....