Saturday, April 27, 2013

Abke Jab.....



(tum kashmir mein ho....kuch 26-27 dinon ke liye....har din ka har lamhaa hazaar saal jaise lagtaa hai...)


Abke jab....

Abke jab tum ghar aana...
Saath le aana taazi hawaa, dhoop, rang, raunak aur noor...

Sab ke sab badsalooki kartey hain...
Meri shikayaton ki fehrist mein bade naam hain iss baar...

Hawaa dubki hui se rehti hai... Tumhaari har ek tasweer ke paas...bas wahin aaram kiya kartee hai...

Dhoop thithak ke jhaankti hai saare roshandaanon se...
Andar qadam nahi rakhtee lekin.....

Rang alsaaye huye rehte hain...

Abke jab tum ghar aana... Karna taaqeed is badghumaan aaeene se...
Mujhko harchand ghareeb kehtaa hai...

Munh chidhaata hai guldaan...dareechaa thitholi kartaa hai..

noor aata nahi ghulabon pe..
Beemar hone ka bahaana kar ke...

Raunak gaayab hai ghar ke aangan se...jaise tankhwaah nahi miltee ho...

Abke jab tum ghar aana...lena khabar barabar tum...

Saath le aana taazi hawaa, dhoop, rang, raunak aur noor....

(Suna hai vaadiyon mein raunak hai... Rang bharpoor hai chinaron mein...dhoop chhantee hai har subah jinse..

hawaa Zindadili se gaati hai..
aur noor.... aakash se tapaktaa hai....)