Wednesday, June 11, 2008

bhor......

jab ek din ankhein kholi to paaya ki khidki ke baahar bhor phoot phoot ke bikhar rahee thee....baadalon ko cheer...
sindoori laal rang ki bhor.....
kisi ne mutthi bhar gulaal jaise arson se neele pade, bejaan aasman ke gaal par dhithaai se laga chhoda ho.......
phir tumko dekha , aur tumhaare safaed kurte par lagey sindoori bhor ke dhabbon ko.......kuchh beetee raat ki kaalikh bhi thee.....raat, jo aankhon mein utar aayi thee .......aur phir bah chali thee, yahaan wahaan..

aur kitne rang band honge .....us mutthi mein.......!!...suhaag ke phool sa dahakta laal, to katthai......tumhaari putli jaisa...
kabhi nazar ke teeke sa kaala.....nazar ka teeka jab phail jaaye, waisa... kaala...
kabhi gulaabi, tumhaari ungliyon ke siron jaisa....

tum se kabhi kahaa tha pehle?

tum..

aasakti ki abhivyakti ho.....bandhan ka aakarshan ho tum...
abhilasha ki paribhasha ho.....ni-swaarth samarpan ho tum...
har swapna ka aadhar-stambha..har satat bhaawana ka marm...
mere kalp-wriksha ho...jeevan ka nimantran ho tum...


jab mere shyaam bhaal par ugega soorya prem ka...
jab ek sootra mein bandhe moti hridaya pe jhoomenge..
meri choodiyon ki taak se badlegaa sandhya ka sangeet....
meri jhaanjharon se lajjit , jheengur nisha ko ghoorenge..


phir main kisi bachchee sareekhee thirakoongi us taan par..
aur dheeme se tumse kahoongi .......
main raatri ka rahasya hoon........aur bhor ki kiran ho tum....

6 comments:

  1. ...aur TUM
    sab kuchh ho mera...TUM

    ReplyDelete
  2. Ok...I have goosebumps. Nidhi's done it again! Remind me why I'm not straight and about to be married to you, again?

    ReplyDelete
  3. bahut der ho chuki hai mere bhai...

    ReplyDelete
  4. kya baat hai......toooo goood...awesome
    what do i say on this one!!

    just assuming myself to be "tum" in it....or assuming the real "tum" to be me...i will just say this

    i named u:
    nidhi+ yasha=nisha....and then i say(a sher from my ghazal..that i wanted to say on ur engagement)



    chaand ki is roshni me dekha karta hn tume,
    mai nisha ki neend ho, mai nisha ka khwaab hun

    ReplyDelete
  5. Aweeeeeeeeesome..

    mera kuch samaan lauta do..

    ReplyDelete
  6. Hey... superb!!... Since I have "Gantavya" as my name, I was just curious to know why do you have your blog as my namesake?

    ReplyDelete